Mitti Dene Ka Ahemiyat Aur Maqsad
Maiyat ko dafnane ka maqsad islam me ek dini aur insani jarooriyat hai. Ye allah ka hukum haiaur insani izzat ko hurmat ka lihaz rakhta hai .dafan se insan ki rooh ko aakhirat ka safar karne ka mauka diya jata hai ,aur jism ko wapas fitrat ke mutabiq zameen me rakh diya jata hai .dafn se insani jism ko gali sadi aur fizati ashrat me mahfooz rakha jata hai.ye ek paak tareeka hai jisme insan ko izzat ke sath rakh kar uski aakhirat ke liye tayyar kiya jata hai
Mitti Dene Ka Amal: Qabar Mein Mitti Dene Ka Sahi Tareeqa
Mitti dalne ka sunnat tareeka jo aap s.a.w ki sunnat me se hai aap mutthi me mitti lekar 3 martaba sir ki taraf se dalte ye tareeqa sunnat hai ye tareeka sunnat hai aap mitti kahi se bhi le sakte hai ye aap ek ke baad ek bari bari de sake hai
1 bar mitti dete waqt padhe {minha khalaqnakum}
2 bar mitti dete waqt padhe {wa feeha nu eidukum}
3 bar mitti dete waqt padhe { wa minha nukhri jukum ta ratan ukhra }
Mitti Dene ke Liye Sunnat Amal
Mayyat ko mitti dene ka sunnat tareeqa bohot hi aham hai, jo Rasoolullah Sallallahu Alehi Wasallam ki taleemat ke mutabiq hai. Jab qabar ko lahad ke tareeqa se tayar kiya jata hai, to mayyat ko ismein utarne ka ek khaas tareeqa hota hai. Mayyat ko qabar mein utarte waqt yeh khaas Mitti Dene ki Dua parhi jati hai: “Bismillah wa ala millati Rasoolillah,” jiska matlab hai “Allah ke naam ke sath aur Rasoolullah ki millat par.” Is dua ke zariye mayyat ko qabar mein dafn karte waqt Allah ki rahmat aur Rasoolullah ke paighamat ko yaad rakha jata hai.
Dua ka Zikr: Mitti Dene ke Waqt Padhi Jaane Wali Dua
Mitti dene ke waqt jo dua padhi jati padhi jati hai ,wo quran ki aayat hi jo insan ke zameen se paida hone aur wapas zameen me lautne ka izhar karti hai . jab mayyat me qabar me rakhi jati hai , to 3 mutthi mitti dalte waqt ye ayat padhi jati hai
Minha khalaqnakum {hamne tumhe mitti se paida kiya
Wa feeha nu eedukum {aur ham tumhe isi me wapas layenge}
Wa minha nukhrijukum taratan ukhra {aur ham tumhe dobara isi se lautayenge
Maiyat ki baksis ke liye kiye jane wale kam: maiyat ki bakhshish ke dua
Kashrat se ashtagfar padhe jindo ka ashtagfar murdo ke bakshish ka zariya hai
Maiyat ki taraf se sadqa khairat karna
Maiyat ki taraf se hajj umrah karna chahe uska niyat ho ya na ho
Is Amal ki Fazilat aur Islam mein Ahmiyat
Maiyat ko mitti dene ki fazilat ye hai ki ye ek sunnat amal hai jo insan ki izzat aur hurmat ke sath kiya jata hai .is amal ke zariye apne asal nawaad yani mitti ,me wapas lautta hai ,jaha se uska paidaish ka silsila suru hota hai quran me farmaya gaya ;hamne tumhe mitti se paida kiya aur isi me tumhe wapas lautayenge.
Conclusion
Islam mein mayyat ko mitti dene ka amal ek ahem sunnat hai, jo na sirf insani izzat aur hurmat ka lihaz rakhta hai, balki insaan ke asal jism ko wapas fitrat ke mutabiq zameen mein lota deta hai. Ye amal rooh ke aakhirat ke safar ke liye zaroori hai, aur insaan ke jism ko gali sadi se mehfooz rakhta hai. Mitti dena ek paak tareeqa hai jo insaan ki akhirat ke liye tayyari ka hissa hai. Sunnat tareeqa apnane se Allah ki rehmat aur mayyat ki maghfirat ki umeed hoti hai. Agar aap is tarah ke deen aur duniya ke maloomat hasil karna chahte hain, to hamari website Islamic Jankari par zaroor tashreef layein, jahan aapko mazeed ahm maloomat mil sakti hai.